Friday, July 10, 2009

Aaj Bhi Zindagi Gaati Hai

I think I have become more poem friendly post Happy's birth. Will get back to the written word soon. Here is one more poem.

Inspiration : A girl I had a chat with yesterday, Vishal Bhardwaj's voice in Kaminey title track, Women in my life forward in the morning, The daughter I dont have, the sister i craved for, Too much of Gulzaar and Prasoon joshi songs, and life ofcourse.

Zindagi Gaati Hai
-Jaykumar Shah

Zindagi gaati hai, chillati hai,
Khamoshi mein, chupke se,
Koi Awaaz nahi hoti phir bhi
Zindagi gaati hai khamoshi mein.

Un dino jab aangan bade the,
Gudiya tasveer banati thi,
Kabhi suraj ko lal kar deti wo,
Kabhi meri moochein banati thi,
Kabhi maa ko chudi pehnati thi,
Kabhi deewaro pe likh jaati thi,
Uske banaye lal suraj mein,
Un hari hari si chhudiyon mein,
Aaj bhi,
Zindagi gaati hai Khamoshi mein.

Tumse mulakat hui thi sapno mein,
Phir college ke un raasto pe,
Din tumhari parchai se the,
Ghazalein meri baaton si,
Chandi bana kya tha wo jhumka
Jo khelta tha un gaalo pe?
Wo Jhumke ke khel ki khanak,
Tumne nahi suni hogi par ,
Aaj bhi,
Zindagi gaati hai khamoshi mein.

Nanhe nanhe do haathon mein,
Wo Enak pakad leti thi mere,
Aankhen kam kholti thi lekin,
Soye soye baatein karti thi,
Papa mein jab badi houngi,
Aapsi baatein karungi,
Wo baatein jo sochi maine,
Bekhbar usne kari thi jo,
Aaj bhi,
Zindagi gaati hai khamoshi mein

Dhalti shaam, Gudiya ka lal suraj,
Tumhara Jhumka, Maaki Choodi,
Mera Enak, Nanhi ki baatein,
Bandh bakse se, Guzre waqt sa,
Nikalke roz mujhse milta hai,
Kuch thi baatein kuch awaaze,
Kuch nahi thi wo bhi yaadein,
Aaj bhi,
Zindagi Gaati hai khamoshi mein.

No comments:

AddMe - Search Engine Optimization