Saturday, July 18, 2009

A Few People Whom I Met

{Inspired from real life}

Us lodge ki deemak khati lakdi
se bani wo dining table
Aur waha pe rehte pandeyji,
Ek dhoti pehankar
Amiro ke dukh sehankar
Muchho ko taav dete
Khane ki baat karte
"Khana achha bana hai"
Aisa kaha kisi ne baju ki table se,
Pandeyji muskurate,
Thehthehate,
Baat karte, haste,
Paani bhar rahe the pital ke glass mein wo,
Tab poocha maine,
"Pandeyji, kaha se ho?"
Mein utsuk tha, kaha se hoge wo,
Kaun si jagah pe khusia,
Rukti nahi hai tute darwazo mein,
Kaun si jagah pe baatein
Khilti hai ek rasoi ghar mein,
Unki hasi waisi hi thi,
Kaha usi andaaz se,
Ke wo hai,
"Hindustan se"

*******************************************************

Mumbai ki bheegti baarish mein,
Ek chhoti si chhat wala bus-stand tha,
Woh tha ucchi imaarato ke saamne,
Par waha ke raaste, basti se bhi aate the,
Mein kuch logo ke saath,
Waaha khada bus ke intezar mein,
Thoda sa bheeg raaha tha ki tab,
Ek chhoti bachhi haath mein fati gudiya leke,
Ayi kaha "Kuch dedo Sahab"
Meine socha jeb mein pade chhute do rupiyo ka,
Phir Socha, iska baap inhi se daaru piyega,
Isko shayad pitega, ya usse bhi kharab,
Meine usko dekha, socha ki kaise madad karu,
Bus aa gayi, mein katar mein dheere dheere door gaya usse,
Bus mein aage ki seat mein baitha tha wo,
Jisne khidki se is ladki ko dekha,
Paas bulaya, aur khidki se apna aadha khaya,
Burger usko de dia.
Mein soch raha tha, kya ye itna mushkil tha?

*****************************************************

Mein aya tha waha tumhe milne ke lie,
Paise hote nahi the hotel mein rehne ke lie,
TO us lodge mein jaha mein ruka tha,
Jaha Pandeyji khana banate the,
Meine kamra share kia tha kisi ke saath,
Wo keh raha tha mein kerela se hu,
Mera beta school mein doosri class mein hai,
Biwi silai bunai kar leti hai, hum gareeb nahi hai,
Salesman ki job mein jab aise bahar aata hu,
Roz ka paanch sau rupiye extra paata hu,
Usne phir baatein kari thi apne gaaon ki,
Apne logo ki jinki haalat kharab hai,
Maine sab ki kahani sochi thi,
Kitne alag aur dilchasp the wo log,
Jinse mila bhi nahi tha mein,
Aaj yaaha baithke dekhta hu,
Chai pine aur baaton mein nipatane ke,
Din ke Paanch sau rupiye lete log,
Rote rehte hai paiso ki kami pe,
Sabki Kahani ek hai,
Sabki baatein ek si,
Kaash maine uska pata poocha hota,
Inko bhejta un dilchasp logo ke paas,
Dekhte ki paisa kam hai agar paisa
Paiso ke lie ho to
Aur paisa paryapt hai agar wo,
Biwi ke kangan aur School ke baste ke lie ho.

1 comment:

Anonymous said...

[url=http://firgonbares.net/][img]http://firgonbares.net/img-add/euro2.jpg[/img][/url]
[b]Pro Mac Retail Price, [url=http://firgonbares.net/]download nero 6 0 for free[/url]
[url=http://firgonbares.net/][/url] macromedia flashtm software cheapest tax software
buy computer software online [url=http://firgonbares.net/]Advanced Mac Retail Price[/url] teacher discounts on software
[url=http://firgonbares.net/]pirated software canada[/url] photoshop cs4 for mac crashed
[url=http://firgonbares.net/]hacked adobe acrobat 9 pro for mac os x[/url] 11 Mac StuffIt Deluxe
quicktime for windows xp [url=http://firgonbares.net/]best place to buy photoshop[/b]

AddMe - Search Engine Optimization